KHuda ke huzur mein
ai anfus o aafaq mein paida teri aayat
haq ye hai ki hai zinda o painda teri zat
main kaise samajhta ki tu hai ya ki nahin hai
har dam mutaghayyar the KHirad ke nazriyat
mahram nahin fitrat ke surud-e-azli se
bina-e-kawakib ho ki dana-e-nabaatat
aaj aankh ne dekha to wo aalam hua sabit
main jis ko samajhta tha kalisa ke KHurafat
hum band-e-shab-o-roz mein jakDe hue bande
tu KHaliq-e-asar-o-nigaranda-e-anat
ek baat agar mujh ko ijazat ho to puchhun
hal kar na sake jis ko hakimon ke maqalat
jab tak main jiya KHema-e-aflak ke niche
kanTe ki tarah dil mein khaTakti rahi ye baat
guftar ke uslub pe qabu nahin rahta
jab ruh ke andar mutalatum hon KHayalat
wo kaun sa aadam hai ki tu jis ka hai mabud
wo aadam-e-KHaki ki jo hai zer-e-samawat
mashriq ke KHudawand safedan-e-firangi
maghrib ke KHudawand daraKHshinda filizzat
europe mein bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
haq ye hai ki be-chashma-e-haiwan hai ye zulmat
ranai-e-tamir mein raunaq mein safa mein
girjon se kahin baDh ke hain bankon ki imaraat
zahir mein tijarat hai haqiqat mein jua hai
sud ek ka lakhon ke liye marg-e-mufajat
ye ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukumat
pite hain lahu dete hain talim-e-musawat
bekari o uryani o mai-KHwari o aflas
kya kam hain farangi madniyat ki futuhat
wo qaum ki faizan-e-samawi se ho mahrum
had us ke kamalat ki hai barq o buKHaraat
hai dil ke liye maut mashinon ki hukumat
ehsas-e-murawwat ko kuchal dete hain aalat
aasar to kuchh kuchh nazar aate hain ki aaKHir
tadbir ko taqdir ke shatir ne kiya mat
mai-KHana ne ki buniyaad mein aaya hai tazalzul
baiThe hain isi fikr mein piran-e-KHarabaat
chehron pe jo surKHi nazar aati hai sar-e-sham
ya ghaza hai ya saghar o mina ki karamat
tu qadir o aadil hai magar tere jahan mein
hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat
kab Dubega sarmaya-parasti ka safina
duniya hai teri muntazir-e-roz-e-mukafat
Nazm
Lenin
Allama Iqbal