اردو हिंदी
Lekin baDi der ho chuki thi | Shaahi Shayari
lekin baDi der ho chuki thi

Nazm

Lekin baDi der ho chuki thi

Parveen Shakir

;

is umr ke baad us ko dekha!
aankhon mein sawal the hazaron

honTon pe magar wahi tabassum!
chehre pe likhi hui udasi

lahje mein magar bala ka Thahrao
aawaz mein gunjti judai

banhen thin magar visal-e-saman!
simTi hui us ke bazuon mein

ta-der main sochti rahi thi
kis abr-e-gurez-pa ki KHatir

main kaise shajar se kaT gai thi
kis chhanw ko tark kar diya tha

main us ke gale lagi hui thi
wo ponchh raha tha mere aansu

lekin baDi der ho chuki thi!