ab KHuda ko bhi zara aaram karna chahiye
ek zamane se musalsal kar raha hai
tin shiften
aur duniya-bhar ke tyauhaaron pe bhi
mil nahin pai kabhi ruKHsat use
hafta-wari yani wo jo the and pe ek chhuTTi
sari duniya mein hi di jati hai ab
us ki wo chhuTTi azal se band hai
sainkaDon bimariyon mein
kaam karte hi use paya hai main ne
na to beTa hai kisi ka aur na bap
koi risht-e-dar bhi us ka nahin
lowe-affair ya kisi shadi ka koi zikr bhi aaya nahin
phir bhi us ko ek KHilqat
ek bap
par ye aisa bap hai
beTe ko maslub hone se bacha paya nahin
na to aata hai na jata hai kahin
is liye salana ruKHsat bhi nahin milti use
yun bhi buDha ho chuka hai
kaam us se le liye jaen to ek din
boriyat ke bojh mein dab kar kahin mar jaega
Nazm
Lekin
Anwar Sen Roy