ye gulistan ye lab-e-ju ye parindon ke hujum
phul par TuT ke bhaunron ka ye raqs-e-masum
in gharibon ko meri wahshat-e-dil kya malum
gham ka ehsas yahan bhi hai ba-dastur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe
mutrib aasudgi-e-saz mujhe deta hai
ek taskin-e-gham-andaz mujhe deta hai
koi har naghme se aawaz mujhe deta hai
ye karishme to kiye dete hain mashur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe
ye wo KHalwat hai jahan masiyaten gati hain
ismaten kauDiyon ke mol bhi bik jati hain
shoKH nazren to mere nafs ko pighlati hain
is jahannam mein Thaharna nahin manzur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe
is irade se ki kanTon se chhuDa lun daman
main bayaban se palaT aaya tha su-e-gulshan
KHar to KHar yahan phul bhi nikle dushman
kar sakengi ye fazaen bhi na masrur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe
mere majruh tabassum pe KHafa hain ahbab
meri mazlum KHamoshi pa hain kya kya na itab
ban nahin paDta mujhe in ke sawalon ka jawab
kya karun main ki KHushi ka nahin maqdur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahen dur mujhe
ye hasin rah-guzren aur ye aiwan sare
jin ke sae se larazte hain ghamon ke mare
KHun-e-mazdur piye sar-ba-falak minare
mujh ko Dar hai na bana den kahin maghrur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe
ye gharibi ka dayar aah ye usrat ka jahan
khokhle jism liye aah ye bhuke insan
nale karti hui lashen ye asir-e-zindan
ye saman karne laga muztar o ranjur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe
ye shiwale bhi hain kya jin mein riya palti hai
yahan har sine mein sangin badi Dhalti hai
yahan mazhab pa tassub ki chhuri chalti hai
yahan raste se nazar aate hain nasur mujhe
le chal ai ishq yahan se bhi kahin dur mujhe
Nazm
Le chal ai ishq
Mahshar Badayuni