rang-e-fitrat hai wajh-e-hairani
aql hai aur haya-e-nadani
raaz-dan muddaa ko kahte hain
husn ulfat ka dagh-e-peshani
husn-e-baqi ne dil ko khinch liya
ruKHsat ai husn-e-hasti-e-fani
dil hai waqf-e-raja-e-rahm-o-karam
jaan hai nazr-e-raza-e-rabbani
ab main samjhi ki hai fana-e-KHudi
imbisat-e-bahisht-e-lafani
gham na kar hai naqib-e-abr-e-bahaar
KHushki-e-mausam-e-zamistani
dil-e-sad-para ke alam gin lun
dekhi jaegi subha-gardani
kar sake tai na mulk-e-irfan ko
rumi o maghribi o kirmani
duru-e-bazm-e-dost ke gham mein
mahw-e-afghan hai ek afghani
arsh ke kangare pe tair-e-quds
raat karta tha yun KHush-ilhani
ki hai insan tilism-e-shan-e-KHuda
qadr apni na is ne pahchani
band kin us ne jab zara aankhen
khul gaya raaz-e-bazm-e-imkani
chaara-e-ruh falsafi hai na shaiKH
ek wahmi hai ek KHafaqani
kasrat-e-in-o-an mein wahdat-e-dost
kunj-e-nayab ki farawani
shaiKH ranj-e-bayan ka Dar na kare
la-bayan hai ye kaif-e-wajdani
mutashakkik hai aur shikayat-e-hijr
nuzhat aur shukr-e-lutf-e-pinhani
Nazm
Lazzat-e-irfan
Ze Khe Sheen