tum kahoge din to main bhi din kahunga
ho bala se raat aadhi
main kahunga raat
tum suraj chamakta ho to us ko chand samjhoge
tumhaari aankh mein aansu nazar aaenge jab
main taziyat ke reshmi rumal se puchhunga un ko
muskuraun main
to tum is ko gul-afshani kahoge
aur dhoke se kahin main
shab ko shab kah dun
kahin tum din ko din kah kar mujhe suraj dikha do
nazar aae agar mujh ko
tumhaari aankh ke aansu magarmachh ke se aansu
mere hansne ke pichhe jhankti mahrumiyan tum ko nazar aa jaen
to samjho ki hum
ek dusre ke jism mein poshida shaitanon se
waqif ho gae hain
rawanon mein sulh-jui ke liye
behad zaruri chiz hai,
laxman ki rekha
Nazm
Laxman-rekha
Muzaffar Hanfi