tum log yahan baiThe ho
tum log yahan is liye baiThe ho ki
jo tum mein se yahan nahin hai
use wahan se uTha diya gaya hai
tum mein se koi portugal nahin gaya
lekin tumhaare darmiyan mez aur kursiyan hain
jo duniya tum ko dikhane ke liye kafi hai
is se baDh kar bhi koi dukh hoga
jitna sochoge bhulte jaoge
masla
mausiqi ya aurten aur aab-o-hawa bachche
aKHbar ya ghizaon ke nam
yahan tak ki nind aa jati hai
ya wo ek buDha jis ke panw
maidanon mein chalte chalte KHatm hue
us ki fasl us ke purane chehre ko
gali de us par phenk di gai
nariyal ka bana hua huqqa bhi aur us mein jo jala hua pani hota hai wo bhi tum log
us kamre mein aa gae
tumhaare samne mez par ashtray mein abhi abhi jabki mulk ki ghaDiyon mein raat ke 9 baj rahe hain
ek cigarette ka jalta hua filter KHatm ho raha hai
main tum sab ke bare mein bahut kuchh kahna chahta hun kuchh bahut zaruri bhed hain
lekin agar kah dun to bahut bura hoga
tumhaari gardanen mujhe insani shakl mein dikhai nahin detin
ye gardanen jism ka filter hain
jism tafsilat mein jal gae ab filter jal rahe hain
ye main nahin bataunga ki tumhein kis ne jala jala ke piya
mazhab ne is jism mein tumhaare is kamre mein jaise an-ginat kamre banae aur har kamra aag
jalae rakhne ki tarkib batai
main tum mein se ek tha tumhaare darmiyan musibat mein KHuda ka nam suna tha
karoDon bhikariyon ke dilon ko sameT kar roTi ka ek sukha TukDa mangne ke liye use pukara
kitabon mein sachchai ke do lafz paDhne ke liye miTTi ke tel ki Dheriyan chaar-paiyon par ulaT din
meri gharibi ke yaadgar gudDe aur bistar jal gae
zamin par itne kankar patthar inTen bajri aur baalu ke zarre bhi nahin hoge
jitni meri raTi hui duaen
ki auraton aur jaanwaron se chhuTkara mil jae
baat ye ki main khul kar rona chahta tha
itna ki tumhaari aabaadiyon mein bazaron ke hujum bhi nahin hoge aur laDkon ki galiyan jo nange pagalon ke pichhe dauDti hain
suno main use apne Dhang se chahta tha
itna ki ek arab nekiyon se bhare hue aspatal bhi kafi nahin
are main jo KHuda mangta hun wo tum dete nahin
aag jalane ki tarkib to main nahin jaanta
main tum se kahta hun mujhe jalao ya meri nabaatat jalao main jalunga aur jalunga
kaam karunga aur kaam karunga
suno kaam karne ke liye ek aisi zindagi chahiye ki main tum sab ko bila-wajh marne se rok sakun
zindagi ka kaam kabhi rukta nahin
har-chand ki
buri bhiD ke zamana mein achchhi kitaben likhne paDhne ke mazbut saman nayab ho jate hain
daulat baDe style se ishtihaari sukun banTti hai
microphone ya bap aur uniwersitiyon mein jab professor eazaz ki suliyon par KHush-gawar dikhai dete hain
dawaen ya maen bahnen
tab baDa ghalat andhera hota hai ghalat beTe aur bhai
jinhen bina-qimat liye agar tum chhu lo to kaghaz tumhein pakaD lenge
kaghaz tumhein mar Dalenge
yahi kaghaz jin se tumhaare liye dhoke aur mustaqbil banate hain
chalo is bhiD se niklo
zindagi ka kaam kabhi rukta nahin
pas aao
main tumhaari jebon ke jhuT se aaj tak Dara nahin hun
un mein rakhe hue paise nikal lunga
paise mat chhupao pas aao
ye main jaanta hun ki tumhaari biwiyan tumhaari maut ke agnet hain
tumhaare beTe aur bhai mujh se nafrat karte hain
main tumhaare gharon ke Dare hue band darwazon par dastak deta hun aur tum aur tumhaare log
andar se chillate hain ki tum nahin ho
main tumhein marne se kyun rokun har-chand ki rok sakta hun
maut kisi ko marne ke liye aasman se nahin utarti
maut is liye hai ki tum ne use aasman man liya
zamin tumhein jagne ke liye di gai tum ne use mayus kiya
maut zamin ki mayusi par aaj tak KHush hai
aur tumhaare KHwabon mein chalne ki aazadi hai
tambaku afim aur bhang ke paude aaj tak KHush hain ki wo tumhaari mari hui maon ki mamta hain
tumhaari bahut si bimariyan tumhaare jism mein baDe aaram se hain
aur dawa-KHanon mein bahut si dawaen bhi baDe aaram se hain
main tumhein marne se kaise rokun
han tum mujhe jine se rokte ho
main tum se kahta hun ki tumhaare chhoDe hue maidanon ki hawaon ke jhonke jab tumhaari khiDkiyon mein aa rahe hon to
khiDkiyan mat band karo
baat ye hai ki tumhaara jama kiya hua asasa tumhaare jism ke ek mamuli roen tak ko nahin chamka sakta
tumhaare jama kiye hue ghalat andheron par jab suraj chamakta hai
to tum us se uktate ho
tum mujhe bolne se rokte ho
main kahta hun tumhaare ye makan tumhaari aane wali qabron se muKHtalif nahin
tum bainal-aqwami bichchhuon se ziyaada chaalak nahin
tum duniya ki baDi kitabon se ziyaada gambhir nahin ho
jab tak main tum se apne safar ka sara saman chhin nahin lunga tum se iKHtilaf karunga
tumhein marne se rokunga
Nazm
Landscape
Ahmad Hamesh