main ne chaha tha use ruh ki rahat ke liye
aaj wo jaan ka aazar bani baiThi hai
meri aaankhon ne jise phul se nazuk samjha
ab wo chalti hui talwar bani baiThi hai
ham-safar ban ke jise naz tha hamrahi par
rahzanon ki wo taraf-dar bani baiThi hai
kisi afsane ka kirdar bani baiThi hai
us ki masumiyat-e-dil pe bharosa tha mujhe
azm-e-sita ki qasam ismat-e-maryam ki qasam
yaad hain us ke wo hanste hue aansu mujh ko
KHanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam
us ne jo kuchh bhi kaha main ne wahi man liya
hukm-e-hawwa ki qasam jazba-e-adam ki qasam
pak thi ruh meri chashma-e-zamzam ki qasam
main ne chaha tha use dil mein chhupa lun aise
jism mein jaise lahu sip mein jaise moti
umr bhar main na jhapakta kabhi apni aanhken
mere zanun pe wo sar rakh ke hamesha soti
sham-e-yak-shab to samajhta hai use ek jahan
kash ho jati wo mere liye jiwan-joti
dar-ba-dar us ki tamazat na pareshan hoti
main use le ke bahut dur nikal jaun magar
wo meri rah mein diwar bani baiThi hai
zindagi bhar ki parastish use manzur nahin
wo to lamhon ki parastar bani baiThi hai
main ne chaha tha use ruh ki rahat ke liye
wo magar jaan ka aazar bani baiThi hai
kisi afsane ka kirdar bani baiThi hai
Nazm
Lamhon ki parastar
Qateel Shifai