اردو हिंदी
Lamha-e-ruKHsat | Shaahi Shayari
lamha-e-ruKHsat

Nazm

Lamha-e-ruKHsat

Makhdoom Mohiuddin

;

kuchh sunne ki KHwahish kanon ko kuchh kahne ka arman aaankhon mein
gardan mein hamail hone ki betab tamanna banhon mein

mushtaq nigahon ki zad se nazron ka haya se jhuk jaana
ek shauq-e-ham-aghoshi pinhan in nichi bhigi palkon mein

shane pe pareshan hone ko bechain siyah kakul ki ghaTa
warafta nigahon se paida hai ek ada-e-zuleKHai

andaz-e-taghaful tewar se ruswai ka saman aaankhon mein
furqat ki bhayanak raaton ka rangin tasawwur mein aana

ifsha-e-haqiqat ke Dar se hans dene ki koshish honTon mein
aansu ka Dhalak kar rah jaana KHun-gashta dilon ka nazrana

takmil-e-wafa ka afsana kah jaana aaankhon aaankhon mein