muskura ai zamin tira-o-tar
sar uTha ai dabi hui maKHluq
dekh wo maghribi ufuq ke qarib
aandhiyan pech-o-tab khane lagin
aur purane qimar-KHane mein
kohna shatir baham ulajhne lage
koi teri taraf nahin nigran
ye giran-bar sard zanjiren
zang-KHurda hain aahani hi sahi
aaj mauqa hai TuT sakti hain
fursat-e-yak-nafas ghanimat jaan
sar uTha ai dabi hui maKHluq
Nazm
Lamha-e-ghanimat
Sahir Ludhianvi