hatheli ki lakiron mein
muqaddar qaid hai
umr-e-rawan ke beshtar lamhe
na jaane kaun si aasudgi ki justuju mein
kitne hi dariyaon ko ek rau mein pichhe chhoD aae hain
magar sahil pe aa kar
mere pyase honT ab tak phaDphaDate hain
meri aankhon mein bhi nakaamiyan hi raqs karti hain
magar
ehsas ke tarik aangan mein
umidon ki kiran sargoshiyan karti
sunai jab bhi deti hain
to phir se taza-dam ho kar
muqaddar se
rihai ki
jasarat karne lagta hun
Nazm
Lakiren
Adil Hayat