mohabbat ko tum lakh phenk aao gahre kuen mein
magar ek aawaz pichha karegi
kabhi chandni raat ka git ban kar
kabhi ghup andhere ki pagli hansi ban ke
pichha karegi
magar ek aawaz pichha karegi
wo aawaz
na-KHwasta tiflak-e-be-pidar
ek din
suliyon ke sahaare
bani-nau-e-insan ki hadi bani
phir KHuda ban gai
koi man
kai sal pahle
zamane ke Dar se
sar-e-rah-guzar
apna laKHt-e-jigar chhoD aai
wo na-KHwasta tiflak-e-be-pidar
ek din
suliyon ke sahaare
bani-nau-e-insan ka hadi bana
phir KHuda ban gaya
Nazm
LaKHt-e-jigar
Makhdoom Mohiuddin