chaTanon ke andar
bahut sari parton ke qilaon
fasilon ki tasKHir karti
meri aankh jab aur aage baDhi to
wahan aag ke ek garajte samundar se lag kar
bahut hi munawwar
bahut KHub-surat si duniya khaDi thi
hazaron chamakte hue rang ke
an-ginat pattharon ne
meri aankh ka KHair-maqdam kiya
dhuen aur kohre ki parchhaiyon se pare
aatish-e-sang-e-be-tab
ek lams-e-awwal ki KHatir
lahu-rang sayyal raushan bhanwar
nachti saiqa
teDhi-meDhi si bahti hui
sim-tan ek nadi
aab-e-zar mein nahate hue
sabz nile gulabi sitare
meri aankh ke muntazir the
meri aankh sare nazaron ki tahrir paDhne lagi
phir na jaane hua kya
kahan kho gai
wahan se meri aankh wapas nahin aa saki
Nazm
Lahu-rang sayyal raushan bhanwar
Sultan Subhani