اردو हिंदी
Lahu ko surKH gulabon mein band rahne do | Shaahi Shayari
lahu ko surKH gulabon mein band rahne do

Nazm

Lahu ko surKH gulabon mein band rahne do

Adil Mansuri

;

lahu ko surKH gulabon mein band rahne do
shikasta KHwab ke shishon pe us ka aks paDe

siyah miTTi ke niche safed baal jale
kisi ke dant meri ungliyan chaba jaen

KHala ke zine se parchhaiyan utarne lagen
har ek lamhe ke chehre pe dhup marne lage

udas waqt ke kandhe pe hath rakh ke chalun
buzurg bap ke chehre ki jhurriyan chumun

KHamosh hain dar-o-diwar khiDkiyan chup hain
gali ke moD pe ruk jae raat ka saya

mujhe na roko mujhe meri man se milne do
ye mere bhai ye bahnen ye hamila biwi

lahu ko surKH gulabon mein band rahne do