mili na maidan ki ijazat
tabhi to qasim yaad aaya
ki ek tawiz mere baba ne KHud mere samne likha tha
jo mere bazu pe ab talak bhi bandha hua hai
use ba-sad ishtiyaq khola
to us mein likkha hua yahi tha
ai lal ai meri jaan qasim
husain se jab nigah phere ye kal zamana
chahaar jaanib se hamla-war hon musibaten jab
rah-e-wafa mein jhijak na jaana
husain par jaan dene walon mein sab se aage qadam baDhana
meri taraf se chacha ke qadmon mein jaan luTana
aur apne ajdad ki shahadat ka qad baDhana
husain tawiz paDh rahe hain
aur un ki aankhen lahu lahu hain
Nazm
Lahu lahu aankhen
Tariq Qamar