main sochta hun
ki mere tan ka ye nichla hissa
jo masiyat ke muhib ghaaron mein gir gaya tha
jise koi dew ain ahd-e-shabab mein
apne ghaar ki tirgi mein mahbus kar gaya tha
jise gunah ka ghana andhera
KHud apne KHun mein umaDti aatish ka raqs
gardish ka shor-o-ghaugha
wo ishq-e-pechan ki bel jise gaThe hue KHwab
qahwa rangat gudaz ko lahu ke
lams abreshmi mulaem bhare bhare se gulabi honTon ka
lazzaten lahr lahr ban kar ubharti jhagon ki
andhi khaiyon mein Dub jaane ki KHwahishen
aks jhaalron ke
hawas ki barish ke garm chhinTe
wasile jismon ke qurb ke imbisat tan ke
bahut satate the achchhe lagte the

Nazm
Lahu bolta hai 3
Satyapal Anand