ye aansu be-sabab bante nahin hain
inhen tum sirf pani kah ke mat Talo
bahut se hadse aae magar ye tsunami-lahren
har aafat se aage hain hamare dil hila kar
aansuon ka sail ban kar bah raha hai
hazaron be-sahaara log
yun bhi marne wale the
magar zer-e-zamin pani samundar ki ye lahren
jism ke TukDe ko miTTi bana kar kha gai hain
jise sab zalzale ka nam dete hain
aaKHir samundar ki ye lahren zamin ko chaak kar ke aain hain
is tarah miTTi ko miTTi se milati hain
hamare ashk bahne do
ki gham har gam rag rag mein samaya hai
hamein gham tha hamari ibtida gham se hui thi
aur intiha bhi gham hai
magar ye aansuon ka sail bahne do
ki shayad kuchh sakun mil jae
mere dida-e-bina ko aaKHiri lamhe
Nazm
Lahron ka aatish-fishan
Baqar Mehdi