wasia jangal hai ek jaanib pahaDon ka silsila chala hai
sham aahistagi se peDon pe kuhniyan Tekti hai
suraj kiran kiran apni raushni rehn rakh ke gharbi dayar-e-falaki se
baadalon ka lihaf le kar
yak-shabi nind ke tasawwur mein unghta hai
KHizan-rasida anar ka ek shajar khaDa hai
main jis ke niche
ahd-o-paiman ke lal yaqut
izhaar o iqrar ke zamurrad
kisi ko deta hun
aur leta hun
aur lafzon ki is tijarat pe
apni nind mein muskura raha hun
Nazm
Lafzon ki tijarat
Jabbar Jameel