kali billi ne ye bhi nahin socha ki main kisi nind mein KHalal ho rahi hun
us ko to chuhon se matlab hai
aur ye kam-baKHt apni bilon mein chhupe kyun nahin rahte
azal se yahi ho raha hai
ghaDi ne shayad bara bajae hain
ye KHuda ke aaram ka waqt hai
aur wo shab bedar use sone nahin dete
apne birte par gunah karte to duaon ki naubat hi kyun aati
lekin ye samajh un ki baat mein nahin aaegi
baaton ke pher ne hi hum ko janam diya hai
warna zamin ke kokh kahan thi
phir hum ne jannat banai aur use jahannam mein jhonk diya
ab ye pahchanna baDa mushkil hai ki kaun kahan se shurua hota hai
kahan KHatm hota hai
pahle daeron se zawiye nikalte the
ab zawiye daere banate hain
muKHtasar ye ki dalilon ne apna kaam chhoD diya hai
Nazm
Lafzon ki dukan mein
Mughni Tabassum