lafzon ke khel bahut ajib hote hain
kabhi aasaman par le jate hain
aur kabhi zamin par de marte hain
ye kapDon ke rangon se ziyaada
kabhi bahut gahre
kabhi bahut halke
suron mein
dhime dhime
KHun sairab karte hain
aur kabhi ek ek qatra nichoD lete hain
ye aaram-deh bistar par hum se ham-bistari karte hain
aur kabhi hamari aanwal nal se chipak jate hain
aur jab tak hum zinda rahte hain
ye hamein loriyan dete hain
aur kabhi hamein achanak mar jaane par
majbur karte hain
aur ye lafz hi elan karte hain
ki kis jagah kis tariKH ko
hum kahan murda haalat mein pae gae
Nazm
Lafzon ke khel
Azra Abbas