ab aa gaya lafzon ke zawal ka waqt
bahut shorida-sar
dilon ko kuchalte hue
suron ko raundte hue
nikle the
ab KHamoshi aur sannaTe ke
darmiyan
ye Tukur tukur dekhenge
jab ek dusre se Takraati chizon
ki aawazen bhi
un ka sath nahin dengi
bahega pani
ek mauj bhi nahin degi unhen
jawab
sab dhakel denge unhen
samundar mein
KHamoshi se
yahi hai un ka muqaddar
Nazm
Lafzon ka zawal
Azra Abbas