nae nae lafz shor karte
baDhe chale aa rahe hain
fikr o KHayal ki rahguzar aabaad ho rahi hai
zaban bahut si purani had-bandiyon se aazad ho rahi hai
kai fasane jo an-kahe the kai tasawwur jo be-zaban the
hazar aalam nashat o gham ke jo pahle na-qabil-e-bayan the
wo dhaDkanen KHamushi hi jin ke KHarosh-e-pinhan ki tarjuman thi
wo naghmagi jo KHamoshiyon ke siyah zindan mein par-fishan thi
use ab aaKHir khuli fazaon mein izn-e-parwaz mil gaya hai
ki ek naya rishta darmiyan-e-KHayal-o-awaz mil gaya hai
magar mujhe chup si lag gai hai
nae nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain
aur main
hujum-e-pur-shor mein akela
purane lafzon ko DhunDta hun
ye dekhta hun
jahan jahan kal purane lafzon ne Dal rakkhe the apne Dere
wahan nae lafz aa ke aabaad ho gae hain
makan agarche ujaD na pae makin barbaad ho gae hain
nae nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain
lekin
purane lafzon ki paemali ne dam ba-KHud kar diya hai mujh ko
kisi ne socha nahin hai shayad magar main aksar ye sochta hun
purane lafzon ke sath hi ek purani duniya bhi kho gai hai
KHamoshiyon ke siyah-zindan mein ja ke ru-posh ho gai hai
Nazm
Lafzon ka almiya
Makhmoor Saeedi