jab lafz chalna chahte hain
chalte hain aur dusre lafzon ke
pichhe chalna shurua kar dete hain
ek ke pichhe ek
lafz chalte rahte hain
lafz ek-dusre ke pichhe
pagalon ki tarah nahin dauDte
lafz aahista aahista chalte hain
apne chalne ke dauran lafz
ek-dusre par miTTi nahin uchhaalte
ek-dusre par pani nahin phenkte
lafz dusre lafzon ko kichaD mein nahin giraate
lafz
dusre chhoTe chhoTe lafzon ko
dhakke nahin dete
aage jaane wale lafz
pichhe aane wale lafzon ka
rasta nahin rokte
KHali hath
lafz chalte chale jate hain
un ke pas aKHroT ki lakDi se bani
lohe ke daste wali koi chhaDi nahin hoti
na hi koi banduq
lafz lafzon ko
bahut ziyaada Daraate nahin
lafz dusre lafzon ko sahaara dete hain
zinda rakhte hain
lafz kisi lafz ko
aadmi ki tarah
andhere mein le ja kar
us ka gala nahin ghonTte
wo ek dusre ko raushni mein rakh kar
hamesha apni apni aawaz buland karte hue
aage baDhte rahte hain
chalte rahi rahte hain
Nazm
Lafz
Zeeshan Sahil