lafz to banjh hain jazbon ki qadr kya jaanen
zindagi bar chuke hon to qahr kya jaanen
apne masum gulabon se hasin bachchon ki
ek khoi hui muskan pe kuchh likhna hai
un ki be-jaan nigahon pe mujhe kahna hai
lafz to banjh hain qirtas ke aaine hain
lafz zist ka unwan hain sarmaya hain
phir bhi jazbaat ke akkas nahin ho sakte
KHauf ke shahr mein ehsas nahin ho sakte
nauha-e-gham bhi to ehsas ki jaulani hai
hae ai dil ki yahan KHauf ki virani hai
muntazir man jo khaDi hai ki bahut der hui
mere ghar-bar ki raunaq nahin aaya ab tak
lafz mein DhunD rahi hun ki use kaise kahun
tera masum shahidon mein likha aaya
nam apna jo bahut pyar se rakha tu ne
TuT kar dur kahin ja ke ki gira hai wo shajar
jis ko din-raat mohabbat se sanwara tu ne
lafz to banjh hain jazbaat nahin kah sakte
waqt ke war ko us par nahin sah sakte
Nazm
Lafz to banjh hain
Shaista Mufti