suna yahi hai
ki lafz ab bolte nahin hain
jo mujh pe ab tak guzar chuka hai
guzar raha hai
wo lafz-dar-lafz mar raha hai
main har taraf se
mare huon mein ghira hua hun
kabhi kabhi mein
Dara Dara sa
sabhi ko chup-chap dekhta hun
kabhi kabhi sar uTha ke murde
udas aankhon se
dekhte hain
main maut ki wadiyon mein jaise utar gaya hun
ki jaise main aaj mar gaya hun
Nazm
Lafz nahin bolte
Kumar Pashi