اردو हिंदी
Lafz likhna bhul jata hun | Shaahi Shayari
lafz likhna bhul jata hun

Nazm

Lafz likhna bhul jata hun

Mahmood Sana

;

mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
mujhe un ki uDanon se

nae aate hue sab mausamon ki aahaTen mahsus hoti hain
mujhe un ki uDanen

barishen aur phul khilne ki bashaarat dene aati hain
mujhe un ki uDanen

zindagi ke raston par hauslon ka dars deti hain
mere hathon ne harfon ke gulabon ko

inhi se likhna sikha hai
magar hijrat-zada mausam mein

jab koi akeli kunj kar lati hui
nile falak ki wusaton mein apne khoe sathiyon ko

DhunDhti aawaz deti hai
mujhe bichhDe hue sab yaad aate hain

mere hathon ki poren lafz likhna bhul jati hain
zamin par barishen

aur sard yaKH-basta badan ko chirti barham hawaen
sabz peDon mein ghire aabaad ghar ka rasta roken

main tanha baiTh kar
bhige parindon ke paron ke

KHushk hone ki duaen mangta hun!