main aksar raat ki tanhai se ye puchhta hun
ki mera aaj mere kal se kyunkar muKHtalif hai
wahi main hun wahi diwangi hai
wahi wahshat wahi fikr-e-maishat
ye bechaini ye virani
mujhe kyun khae jati hai
magar jazbon se aari dard se ghafil ye tanhai
sada KHamosh rahti hai
mujhe lagta hai tanhai
faqat bahri nahin gungi bhi hai shayad
wahi gambhir sannaTa wahi viran tariki
bhala tanhai bhi kuchh bolti hai
magar badli se aksar
chand apna sar nikale
mujhe aawaz de kar puchhta hai
ki diwane tu ab tak jagta hai
ye kaisi fikr-e-roz-o-shab
ye kaisi girya-zari
sulagti dhime dhime
rakh banti raat
aaKHir kaT hi jaegi
magar tu koi tajir hai
na sahukar na baniya
to phir kyun aaj-kal mein banTta hai
dard ki daulat
ye wo sauda nahin
jo har kisi ko ras aa jae
kaThin ho ya pur-asaish magar ye raat guzregi
shab-e-simwar guzasht lab-e-tanur guzasht
Nazm
Lab-e-tanur
Salman Ansari