layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
dhaDkan dhaDkan sath rahegi us basti ki yaad
miThe bolon ki wo nagri giton ka sansar
hanste-baste hae wo raste naghma-rez dayar
wo galiyan wo phul wo kaliyan rang-bhare bazar
main ne un galiyon phulon kaliyon se kiya hai pyar
barg-e-awara mein bikhri hai jis ki rudad
layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
koi nahin tha kaam mujhe phir bhi tha kitna kaam
un galiyon mein phirte rahna din ko karna sham
ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar mein badnam
raaton ko dahlizon pe hi kar lena aaram
dukh sahne mein chup rahne mein dil tha kitna shad
layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
main ne us nagri rah kar kya kya git likhe
jin ke karan logon ke man mein hai meri prit
ek lagan ki baat hai jiwan kaisi haar aur jit
sab se mujh ko pyar hai 'jalib' sab hain mere mit
dad to un ki yaad hai mujh ko bhul gaya be-dad
layal pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
Nazm
Layal-pur
Habib Jalib