اردو हिंदी
Lao hath apna lao zara | Shaahi Shayari
lao hath apna lao zara

Nazm

Lao hath apna lao zara

Fahmida Riaz

;

lao hath apna lao zara
chhu ke mera badan

apne bachche ke dil ka dhDakna suno
naf ke us taraf

us ki jumbish ko mahsus karte ho tum
bas yahin chhoD do

thoDi der aur us hath ko mere ThanDe badan par yahin chhoD do
mere be-kal nafas ko qarar aa gaya

mere isa mere dard ke chaaragar
mera har mu-e-tan

us hatheli se taskin pane laga
us hatheli ke niche mera lal karwaT si lene laga

ungliyon se badan us ka pahchan lo
tum use jaan lo

chumne do mujhe apni ye ungliyan
un ki har por ko chumne do mujhe

naKHunon ko labon se laga lun zara
phul lati hui ye hari ungliyan

meri aankhon se aansu ubalte hue
un se sinchungi mein

phul lati hui ungliyon ki jaDen chumne do mujhe
apne baal apne mathe ka chand apne lab

ye chamakti hui kali aankhen
mere kanpte honT meri chhalakti hui aankh ko dekh kar kitni hairan hain

tum ko malum kya tum ko malum kya
tum ne jaane mujhe kya se kya kar diya

mere andar andhere ka aaseb tha
ya karan ta karan ek anmiT KHala

yunhi phirti thi main
zist ke zaiqe ko tarasti hui

dil mein aansu bhare sab pe hansti hui
tum ne andar mera is tarah bhar diya

phuTti hai mere jism se raushni
sab muqaddas kitaben jo nazil huin

sab payambar jo ab tak utare gae
sab farishte ki hain baadalon se pare

rang sangit sar phul kaliyan shajar
subh-dam peD ki jhumti Daliyan

un ke mafhum jo bhi batae gae
KHak par basne wale bashar ko masarrat ke jitne bhi naghme sunae gae

sab rishi sab muni ambiya auliya
KHair ke dewta husn neki KHuda

aaj sab par mujhe
e'tibar aa gaya e'tibar aa gaya