اردو हिंदी
Lajwanti | Shaahi Shayari
lajwanti

Nazm

Lajwanti

Khursheed Akbar

;

jis ke pahlu mein bagh-e-jannat hai
us ke pahlu se uTh ke aaya hun

jis ke pahlu mein aag jalti hai
us ke pahlu mein jal ke dekha hai

jis ke pahlu mein barf jamti hai
us ko apni hararaten de kar

main ne pani bana diya lekin
zindagi tum ko sharm aati hai

meri mahbub ho gai kab se
mujh se mansub ho gai kab se

tum ne kaTi fasadiyon ke sath
kab qayamat ke jaisi bhaari raat

rahaton ka bhi camp hota hai
tum ko malum hi nahin shayad

mere pahlu mein aa ke leTi ho
tum meri KHwab-gah jaisi ho

phir bhi chhune se Dar raha hun main
aur har lamha mar raha hun main

sach kahun tum to lajwanti ho