اردو हिंदी
La-yaniyat | Shaahi Shayari
la-yaniyat

Nazm

La-yaniyat

Sulaiman Areeb

;

zindagi sher ka mauzua to ho sakti hai
sher ke aur jo unwan hain agar wo na rahen

is pe kya bahs karen
bahs phir bahs hai

aurat pe ho launDe pe ho ya jins pe ho
bahs phir bahs hai

aKHlaq par mazhab pe ho ya falsafa-e-science pe ho
bahs phir bahs hai

zindagi aur ajal pe ho ya KHud sher pe ho
bahs kis darja hai la-yani shai

bahs jo ho na saki man se ki wo man hai meri
aur beTe se ki beTa hai mera

aur nahin jaante hum donon bhi
main bhi beTa bhi mera

kis ki aulad hain hum
bahs kis darja hai la-yani shai

puchho us ruh se us jism se KHalwat mein kabhi
jo lafz sochta rahta hai yahi

zindagi kis tarah kaTi jae