main so gaya
to zindagi alamaton ki khoj mein nikal gai
purane zawiyon ki dhul
jism par male hue
bahut nirash sainkaDon baras ke git ghaT ghaT phailte safed paniyon ke bich gholti
chalti gai
safed paniyon ke nam
purane zawiyon ki dhul nafraten aur pattharon ki Dheryan
udas panw thak gae
na jaduon ki bhiD thi na log the jo dhat ke bane hue hisar mein ghire
hue bikhar gae
nishan kanpte nishan kho gae
wo ganw aur ganw ki nadi pe ek pul ki jaise aaine pe sangtare ke surKH qash
barha jo dhup mein chamak uThi
wo barishon se dhul gai
kabhi safed pyaliyon ke gird jo bandhe hue siyah tar der tak sadaen de ke kaT gae
to mausamon ke sae bhi guzar gae
zamin apne aansuon se bhigti chali gai
hawa chali to dur dur dhund se aTe hue gharon ki moon-bastiyon mein faslon ke tez
sankh baj uThe
jahaz koi aa raha hai paniyon ko chirta wo aa gaya
magar yahan ki bastiyon mein kaun hai jo aas ki shikha liye sapaT sard rit par khaDa rahe
koi nahin koi nahin
to kyun na ab bujhi hui dishaon ko sameT len
to kyun na aur so rahen
Nazm
La shuur
Ahmad Hamesh