اردو हिंदी
La-ilmi | Shaahi Shayari
la-ilmi

Nazm

La-ilmi

Neel Ahmed

;

mere kamre ki almari
bhari hai jin kitabon se

main un ko rose paDhti hun
main lafzon mein chhupi targhib ke lahje samajhti hun

khubi kuchh lainon ke darmiyan maujud matlab ko
waraq pe likh ke apne pas yun mahfuz karti hun

ki jaise mahiyat lafzon ki sari jaan li main ne
zara sa ghaur karne par haqiqat yun khuli mujh par

ki jo bhi ilm sikha hai
faqat ye ilm deta hai

ki main la-ilm hun ab tak