tum ne kya dekha yahan kuchh bhi nahin
hum ne kya paya yahan kuchh bhi nahin
be-kasi hae tamanna ki na duniya hai na din
la se aaghaz fasane ka hua
la se tahzib zamane ki hui
la ki tafsir nahin hai mumkin
la hi se ishq ka aaghaz hua
ishq hai ek bala
ishq saffak o hawasnak darida-daman
jis ke qadmon se bipharte hue dariya umDe
jis ki aankhon se dahakte hue hire nikle
jis ke hathon pe chamakte hue mahtab utre
ishq wo aag ki jo aur jila de jae
ishq wo KHwab ki jo nind uDa le jae
is qadar sarkash o saffak ki bas
dasht-e-kashan se dilli ka safar
nigah-e-jalwa-parast aur nafas-e-sidq-guzin
ek ubhai-chand mere nama-e-amal mein hai
aalam-e-kul KHwab mein hai
sang-e-marmar ki usi masjid ke
surKH zinon pe lahu bahta hai
aaj bhi kal ki tarah hansta hai
kufr masjid mein bahata hai lahu
ishq sajde mein kahe shukr-allah
shahabaad bhi tufan mein bahta jae
aur 'dara' hai kisi soch mein gharq
masnad-e-adl sipah-salar aur taKHt mein ham-fikri hai
ek hai mulla-qawi
ek hai bas yahan aalamgir
aur maqtal mein akela 'sarmad'
ruKH-e-tariKH badalne ko hai
us ke ashaar hi se taKHt laraz jata hai
aaise adwar kai bar zamin par guzre
kaise talwar ne maftuh qalam karne ko
hath kaTe hain zaban kaTi hai sar kaTe hain
hum ne dekha hai khuli aankhon se
aaj ki kaun kare ab tazim
kal ki takzib nahin ho sakti
rakh se ghar to nahin ban sakte
koh mein dar to nahin ban sakte
KHwab fariyaad nahin kar sakte
KHwab dekha hai khuli aankhon se
chand ko KHun mein nahate hum ne
sar khule dasht ko matam karte
aur mahallat ko khanDaron mein badalte dekha
kizb ko adl ka har faisla karte dekha
taKHt ko waqt ka firaun bhi bante dekha
zer-e-shamshir ye 'sarmad' ne kaha hanste hue
masnad-e-adl-o-musawat yahan kuchh bhi nahin
la bhi hai ek guman
aur guman kuchh bhi nahin
Nazm
La bhi hai ek guman
Faheem Shanas Kazmi