waqtan-fawaqtan hamari tarif ki jae
hamein shabashi di jae
kyunki hum KHas log hain
hamara KHuda ek KHas darwaze se
hamein apni jannat mein daKHle ka eazaz baKHshega
hamara muqabla aam aadamiyon se na kiya jae
hamein mutlaq izhaar-e-rae ki aazadi di jae
hamare tarz-e-amal par koi qadghan na lagae
taslim kiya jae ki hum
zindagi ko ziyaada gahrai se samajhne ki salahiyat rakhte hain
hamein aam aadamiyon ke liye banae jaane wale mearaat par na parkha jae
hamein har tarah ki tanqid aur ehtisab se baala qarar diya jae
awam ki KHidmat aur islah hamara mission hai
agar is mission ko pa-e-takmil tak pahunchane ke dauran
koi shaKHs agar hamare hathon
jazbaati ya jismani taur par halak ho jae
to hamari niyyat par shubah na kiya jae
hamein shabashi den, hamari tarif ki jae
kyunki hum KHas log hain
Nazm
Kyunki hum KHas log hain
Shaukat Abidi