phir dil mein dard silsila-e-jumba hai kya karun
phir ashk garm-e-dawat-e-mizhgan hai kya karun
phir chaak chaak sina hai aawaz dun kise
phir tar tar jaib-o-gareban hai kya karun
phir ittisal-e-gardan-o-KHanjar hai kya kahun
phir iKHtilat-e-zaKHm-o-namak-dan hai kya karun
phir ek girah harif-e-nafas hai kise bataun
phir ek khaTak rafiqe-e-rag-e-jaan hai kya karun
sine mein ek dashna sa leta hai karwaTen
rag rag mein ek aag si ghaltan hai kya karun
jis chiz par madar tha darman-e-zist ka
wo shai phir aaj dard ka unwan hai kya karun
phir sar par abr-e-daur-e-junun hai ghira hua
phir dil mein bu-e-zulf pareshan hai kya karun
phir ishq-e-na-subur ka partaw hai ruh par
phir dil huzur-e-aql pasheman hai kya karun
bite dinon ki yaad par afshan hai kya karun
raaton ki nam hawaon mein taron ki chhanw mein
bite dinon ki yaad par-afshan hai kya karun
jis chandni ko khoe hue muddaten huin
phir zehn ke ufuq se numayan hai kya karun
taqdir ne kabhi jo nikala tha ek julus
phir jada-e-nafas pe KHiraman hai kya karun
wo gham ki de chuka hun jise bar-ha shikast
phir dil se 'josh' dast-o-gareban hai kya karun
Nazm
Kya karun
Josh Malihabadi