samaaten bain kar rahi hain
ki log har-chand bolte hain
magar kuchh aise
ki jaise un ki zaban o lab ke wo sare hisse
jo barmala guftugu ki sachchi adaegi ke liye banae gae the
mafluj ho gae hain
basar-KHarashi ki intiha hai
ki sari baaten jo an-kahi hain
tamam
chehron ki lauh-e-mahfuz par likhi hain
koi batao
ki jab kisi ki zaban chehre ka sath chhoDe
to aisi haalat ko kya kahen ham?
koi batao
ki jab bahut se azab chehre zaban ban jaen
to zabanon ko kya likkhen ham?
jo ye zamana hai misl-e-firdaus
in zamanon ko kya likkhen ham?
zamam goyai jab zabanon ke hath mein thi
huruf-e-abjad qarar mein the
zaban o lab ke hisar mein the
Nazm
Kya kahen kya likhen
Waheed Ahmad