agar tum kisi din kuchh ban jao
yani tum ek harf ban jao
jo ab tak kisi huruf-e-tahajji ka hissa na ho
tu jadliyati maddiyat ke mutabiq kya hogi tumhaari
haisiyat
kya kahenge tumhaare bare mein ahl shariat
kis maqam par rakhenge tumhein ahl-e-tariqat?
kaun si jamhuriyat tumhein qubul karegi
kya suluk karenge tumhaare sath maherin
lissniyat?
kaise tai kiya jaega tumhaare liye koi nam?
kaise muqarrar ki jaegi aawaz?
kya karenge jadidie aur ma-baad-al-jadidie?
zarur tumhaara rishta karane ko koshish ki jaegi
aur is se pahle
tai ki jaegi tumhaari jins
lekin kaise tai ki jaegi tumhaari jins
kya qubul kar sakega tumhein koi lafz?
qubul bhi kar liya
kisi matruk ya na-qabil-e-istimal ne
to kya karegi grammar
kya banega grammar ki kitabon ka?
zarur tumhein jila watan kar diya jaega
zarur kisi din sab ikaTThe honge
aur qatl kar dega tumhein
ijtimai mafad ya qaumi salamti ke pesh-e-nazar
sangsar kar dega
na-jaez aur na-tahqiq hone ke jurm mein
aur shayad tum bhi yahi samjhoge
aaise hone se to behtar hai
na hona
Nazm
Kya hona mumkin hai
Anwar Sen Roy