kya hogi peDon ki zat
kabhi socha hai aap ne
sawal aTpaTa hai
lekin kyun nahin banTa
use hum ne zat-pat mein
chalo ek ek kar ke banTte hain peDon ko
phal wale peD aur phul wale peD
baDi baDi bhujaon wale
chhoTi chhoTi Tahniyon wale peD
wo aam ka peD
jo hawan mein jalta hain
babhan hoga
kyunki us ke patton ki puja bhi hoti hain
phal bhi khub rasila mantron ki tarah
babul ka peD chhaya nahin deta
us ke kanTe chubh jae to dard hota hai
aur KHun nikalta hai
lekin baDa mazbut hota hai
babul shayad Thakur hoga
baniya to mahuwa hoga
us ke patton se pattal banti hain
rasile phal aanTe mein
mij kar gujiya banate hain
sukha kar us ke phal dukan par bech dete hain
tel bhi milta hai mahuwe ki koiyya se
lakDi to us ki baDe kaam aati hain
kuchh peD hai
jo jaldi jaldi baDhte hai
un ki lakDi jlawan banti hain
amaltas mera harijan hoga
bas baDhta hai aur kaTta hai
us ke kaTne par kisi ko dukh nahin hota
sawal mera paDh kar
sochoge tum
pagal ho gaya basti
bahki bahki si baaten karta hai
to kyun nahin sochte
insano ko zat-pat mein banTne par
chalo ek ek kar ke
banTte hain peDon ko
Nazm
Kya hogi peDon ki zat
Kamal Upadhyay