kis darja fusun-kar wo allah ghani hai
kya mauja-e-tabindagi o sim-tani hai
andaz hai ya jazba-e-gardun-zadani hai
aawaz hai ya barbat-e-iman-shikni hai
jangal ki siyah raat hai ya zulf ghani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
ye lai hai ki khilti hui ghunche ki kamani
mahka hua ye tan hai ki ye raat ki rani
lahje ki ye rau hai ki barasta hua pani
larzish mein ye mizhgan hai ki pariyon ki kahani
ye surKHi-e-lab hai ki aqiq-e-yamani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
mehrab hai ruKHsar ke partaw se zar-afshan
zulfon mein shab-e-tar hai aankhon mein charaghan
mehndi ki sajawaT ki hatheli pe gulistan
ya halqa-e-ushshaq mein hai chehra-e-taban
ya KHatam-e-tabinda pe hire ki kani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
sine pe ye pallu hai ki ek mauj-e-hayabi
matha hai ki ek subh ka partaw hai shahabi
aankhen hain ki bahke hue do mast sharabi
paikar hai ki insan ke sanche mein gulabi
gesu hain ki gul-bazi-e-mushk-e-KHutani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
kakul mein daraKHshan hai ye peshani-e-raqsan
ya saya-e-zulmat mein hai chashma-e-haiwan
hathon pe hai ye chehra ki hai rehl pe quran
aur chehra-e-gul-rang mein ghaltan o KHaroshan
raKHshandagi-e-KHun-e-rag-e-yasimani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
ishwe hain ki ek fauj khaDi luT rahi hai
chhal-bal hai ki chhati ko zamin kuT rahi hai
angDai ka KHam hai ki dhanak TuT rahi hai
mukhDa hai ki parbat pe kiran phuT rahi hai
qamat hai ki barnai-e-sarw-e-chamani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
tan mein hai wo KHushbu ki hain gul sar-ba-gareban
chehre pe wo surKHi hai ki hairan gulistan
wo chaal mein hai loch ki shaKHen hain pasheman
aur lal-e-guhar-bar pe wo naghma hai ghaltan
wo naghma ki ek walwala-e-shoala-zani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
gardan mein chandan-haar hai hathon mein hai kangan
umDe hue ishwe hain garajta hua jauban
jaulan hai jawani ke dhundalke mein laDakpan
kora hai jo pinDa to junun-KHez hai ubTab
gul-rang shaluka hai qaba nardani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
KHalwat mein wo taslim hai jalwat mein tahakkum
sahil pe subuk-mauj safine mein talatum
hujre mein KHamoshi hai shabistan mein takallum
KHeme mein tunuk aah KHayalon mein tarannum
aaghosh mein talwar hai ghunghaT mein bani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
har naqsh-e-qadam par hai fida taj-e-kayani
har gam mein hai chashma-e-kausar ki rawani
har ek bun-e-mu se ubalti hai jawani
uThti hai masamat se yun bhap si dhani
goya koi mahki hui chadar si tani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
Nazm
Kya gul-badani hai
Josh Malihabadi