lakDi ke bane hue aadmi
pani mein nahin Dubte
aur diwaron se Tange ja sakte hain
shayad unhen yaad hota hai
ki aara kya hai
aur daraKHt kise kahte hain
har daraKHt mein lakDi ke aadmi nahin hote
jis tarah har zamin ke TukDe mein koi kar-amad chiz nahin hoti
jis daraKHt mein lakDi ke aadmi
ya lakDi ki mez
ya kursi
ya palang nahin hota
aara banane wale use aag ke hath bech dete hain
aag sab se achchhi KHaridar hai
wo apna jism muawze mein de deti hai
magar
aag ke hath gili lakDi nahin bechni chahiye
gili lakDi dhup ke hath bechni chahiye
chahe dhup ke pas dene ko kuchh na ho
lakDi ke bane hue aadmi ko dhup se mohabbat karni chahiye
dhup use sidha khaDa hona sikhati hai
main jis aare se kaTa gaya
wo maqnatis ka tha
use lakDi ke bane hue aadmi chala rahe the
ye aadmi daraKHt ki shaKHon se banae gae the
jab ki main daraKHt ke tane se bana
main har kamzor aag ko apni taraf khinch sakta tha
magar ek bar
ek jahannam mujh se khinch gaya
lakDi ke bane hue aadmi
pani mein bahte hue
diwaron par Tange hue
aur qataron mein khaDe hue achchhe lagte hain
unhen kisi aag ko apni taraf nahin khinchna chahiye
aag jo ye bhi nahin puchhti
ki tum lakDi ke aadmi ho
ya mez
ya kursi
ya diya-salai
Nazm
Kya aag sab se achchhi KHaridar hai
Afzal Ahmad Syed