KHalid jawed ke nam
magar billi ko rona chahiye tha
mujhe hoshiyar kar ke hi is raat sona chahiye tha
ki wo ghar mein hai
wo
yani meri maut
use kuchh bhi nahin karna paDa
mujhe to sirf lamhe bhar ki is sharmindagi ne mar Dala
wo mere haal par munh phaD kar jab hans rahi thi
ki jab wo samne aai
meri aankhon mein KHwabon ki chamak thi
hatheli par dawa ki goliyan thin jin ko badla tha sawere doctor ne
aur main nihayat mutmain tha kal ko le kar
ye manzar yun nahin kuchh aur hona chahiye tha
aur bahut mumkin hai hota bhi
agar mujh ko zara aagah kar deti wo kutiya
wo meri billi
Nazm
Kutiya
Shariq Kaifi

