sakina!
jab kahani KHatm hogi
KHak ki tasir badlegi
zamin shoala-ba-shoala
khinch li jaegi un tarik konon mein
jinhen raushan zamane
satr-e-mustahkam ke andar faslon mein rakh gae the
sakina!
jab badan farsh-e-sitam par
do qadam chalne lagega
asr-e-be-hangam se jiwan
nai duniyaon ke raste nikalega
myan-e-ab-o-gil
kis ko KHabar
kya kya nikal aae
hamare dekhte an-dekhte
kya kya badal jae
hamare sath gird-o-pesh
jitni suraten hain
sab fana ke raqs mein hain
aur ye raqs-e-fana
apna irada to nahin hai
bayabanon ki paimaish
mere chaak-e-gareban se
ziyaada to nahin hai!
Nazm
Kushtagan-e-KHanjar-e-taslim-ra
Farrukh Yar