siyasiyat mein uncha hai nam kursi ka
kiya hai main ne bahut ehtiram kursi ka
ghasiTa apni taraf intizam kursi ka
ye mera kaam tha baqi hai kaam kursi ka
ye gol mez se kahti hai ab ki to kya hai
chair ke samne sofe ki aabru kya hai
koi clerk koi manager ki kursi hai
jahan hai nurse wahin doctor ki kursi hai
jo ek Tang ki TuTi kamar ki kursi hai
wo mere shahr ke ek counselor ki kursi hai
briadri ki badaulat amin hain mausuf
pachas sal se kursi-nashin hain mausuf
chair pe baiTh ke sare hi shan wale hain
jo par kaTe the wo unchi uDan wale hain
jo be-makan the das das makan wale hain
wo sirf pan nahin pandan wale hain
ajib rasm chali hai ki is zamane mein
awam dhup mein kursi hai shamiyane mein
mushaere mein bhi aksar uchhal gai kursi
ghazal ke chalne se pahle hi chal gai kursi
har ek mez se aage nikal gai kursi
badal gae rufaqa jab badal gai kursi
haram mal se jaez kamai behtar hai
nai chair se purani tipai behtar hai
usi ka zikr bason mein bhi baat baat pe hai
tamam rail mein jhagDa isi ki zat pe hai
yahi sawar arakin-e-baldiyat pe hai
isi ka hukm qalam par kabhi dawat pe hai
mushaere mein bhi jhagDa isi ibarat ka
kabhi maqam kabhi kursi-e-sadarat ka
bani thi kursi jo ek head-master ke liye
janab-e-head use le gae hain ghar ke liye
bana diya jinhen kursi ne umr bhar ke liye
chair hai un ke liye wo nahin chair ke liye
amanatan jo chair par biThae jate hain
wo log KHud nahin uThte uThae jate hain
kuchh is ada se ye dilkash sifat chalti hai
kisi rais ki goya baraat chalti hai
jahan bhi jao yahi sath sath chalti hai
chipak ke jaise sharik-e-hayat chalti hai
ye zaiqa bhi ajab hai ki chakh nahin sakte
hum is ki god mein tashrif rakh nahin sakte
Nazm
Kursi
Khalid Irfan