kundan saTh baras ka buDha chhoTe qadam uThata hai
subh sawere dhire dhire pul par baiThne aata hai
daen baen us ki nigahen dauDti hain kuchh DhunDhti hain
tis baras pahle ka zamana aankhon mein phir jata hai
bite dinon ka tasawwur dil ke dukh ko aur baDhata hai
duniya ek din us ki thi ye duniya aaKHir kis ki hui
kundan chalte chalte baiThe baiThe bhi thak jata hai
jaise use qurb-e-manzil se Dar lagta ho KHauf aata hai
kundan dhire chalta hai aur tezi se ghabraata hai
bachchon ki chusti chaalaki par aksar jhunjhlata hai
ek musibat ek qayamat nae zamane ki aulad
agle waqt ki azmat aur sharafat kar Dali barbaad
aksar agle waqt ki baaten hans hans ke dohraata hai
us ki kamar ka KHam aksar is mauqe par tan jata hai
jab koi school ko jati phul si shoala-gun laDki
dekhta hai bol uThta hai ye kaisa zamana aaya hai
rang-rup ke bechne wali ka sa swang rachaya hai
achchha ishwar teri marzi!! ye bhi musibat sahna thi
shukr hai agle waqton ki beTi ke aise Dhang na the
laj hi us ka jauban thi aur laj hi us ka gahna thi
lekin doshiza ke sarapa mein kundan kho jata hai
kundan subh-sawere nahr ke pul par baiThne aata hai
aksar agle waqt ki baaten hans hans ke dohraata hai
us ki kamar ka KHam aksar is mauqe par tan jata hai
kitni KHush-uslubi se apni KHiffat ko chhupata hai
Nazm
Kundan
Makhmoor Jalandhari