chand bhi kambal oDhe nikla tha
sitare ThiThur rahen the
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
kuchh rishte
jo bas nam ke bache the
khinch raha tha
main un ko
kabhi wo mujhe khincha karte the
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
kuchh rishte
bahut kamzor ho chale the
un ki lapaT bhi bahut kam thi
kuchh itne patle
ki jalne se pahle rakh ho gae
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
kuchh purane rishte the
mere janam ke pahle ke
sajoya tha unhen main ne
unhen nahin tha koi lagaw mujh se
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
Nazm
Kuchh rishte jalane paDe
Kamal Upadhyay