اردو हिंदी
Kuchh der pahle nind se | Shaahi Shayari
kuchh der pahle nind se

Nazm

Kuchh der pahle nind se

Iftikhar Arif

;

main jin ko chhoD aaya tha shanasai ki basti ke wo sare raste aawaz dete hain
nahin malum ab kis waste aawaz dete hain

lahu mein KHak uDti hai
badan KHwahish-ba-KHwahish Dah raha hai

aur nafas ki aamad-o-shud dil ki na-hamwariyon par bain karti hai
wo sare KHwab ek ek kar ke ruKHsat ho chuke hain jin se aankhen jagti thin

aur ummidon ke rauzan shahr-e-ainda mein khilte the
bahut aahista aahista

andhera dil mein, aankhon mein, lahu mein, bahte bahte jam gaya hai
waqt jaise tham gaya hai