hawaen bhi
baadban bhi mere
samundaron ke sukut mein
be-libas naslon ke reza reza jamal ke sab nishan bhi mere
mere shikasta wajud ki
lahlahati faslon pe
girne wali shafiq shabnam mein ret ke aasman bhi mere
qadim lafzon ke gham mein be-jaan manzaron ke jahan bhi mere
sitara-e-dil ki wusaton mein
khile hue jangalon ke asrar saaton ke guman bhi mere
mere tasawwur ke bojh se TuTti zamin par
halak hote hue labon par wafaon ke sab nishan bhi mere
gulab-chehron pe
sabz aankhon ke manzaron mein
najat-e-gham ki shikasta KHwahish ki rakh meri bujhe hue karwan bhi mere
jo kho gae
aur jo aane wale dinon ka dukh hai
wahi mere be-wajud chehre
sitara-e-dil ki be-panahi ka pasban hai
kuchh aur ho bhi to raegan hai
Nazm
Kuchh aur ho bhi to raegan hai
Ayub Khawar