اردو हिंदी
Kuchh agar hai to mile | Shaahi Shayari
kuchh agar hai to mile

Nazm

Kuchh agar hai to mile

Kishwar Naheed

;

KHwab mein aae mujhe mujh se milae
mujhe sairabi-e-didar se gulzar kare

KHwab wo KHwab ki ho jis tamazat ka fusun-zad
KHwab wo KHwab ki ban jae shikast-e-be-dad

katthai rang ghule surmai sham mein aise ki shafaq
KHun ki aanchon se dahak kar phaile

aate-jate hue logon ki tag-o-taz bhi
andeshon se anjaan lage

jage KHadshe bhi KHadd-o-KHal tamanna se hun mabhut
har ek uzlat-e-jaan shauq ki shamshir liye

phail ke sahil-e-payab ko ghaarat kar de
marqad-e-hila-e-be-sud miTe

kuchh agar hai to mile
koi gar hai to chala aae mujhe mujh se milae

mujhe sairabi-e-didar se gulzar kare