اردو हिंदी
Krishn-kanhaiya | Shaahi Shayari
krishn-kanhaiya

Nazm

Krishn-kanhaiya

Julius Naheef Dehlvi

;

jo sun leta hai gosh-e-dil se afsana kanhaiya ka
wo ho jata hai sachche dil se diwana kanhaiya ka

nazar aati hai jis ko KHwab mein wo surat-e-dilkash
wo apna dil bana leta hai kashana kanhaiya ka

surur-o-kaif ki milti hai us ko lazzat-e-daim
laga leta hai honTon se jo paimana kanhaiya ka

tum apna hath phailao zara saqi ki mahfil mein
ki banTa ja raha hai aaj paimana kanhaiya ka

kisi par band hone ka nahin mai-KHana-e-ulfat
chale aao khula rahta hai mai-KHana kanhaiya ka

kanhaiya ki mohabbat mein jo jaan par khel jata hai
use sab log kah dete hain diwana kanhaiya ka

'nahif' apne parae sab isi ke dil mein rahte hain
sab apne hain nahin koi bhi begana kanhaiya ka